Wednesday, January 5, 2011

Passport ki vyatha- Mere dost Nitish ki zubani.

Antateh passport k form ko bharke jama karne me main safal raha. Aakhir is form ko bharne me mera salo ka PMT aur GATE k form bharne ka tajurba hi kaam aaya. Shayad isi din k liye baba ranchhod-das [aka rancho] ne kaha tha kamyabi k pichhe mat bhag, excellence k pichhe bhago, success tumhe apne aap mil jayegi.
Khair counter k shaksh ne kaha k bhai ab verification k liye police wale aapke ghar aa jayenge aur passport ban jayega. Traffic signals ki mulakato ko agar chhod diya jaye to Bhartiya Police se ye meri pehli official meeting hogi, yehi soch mera intzar chalu hua.

Aur ek din ek vardidhari vruhad kaya, mere ghar k darwaje pe takriban 1 baje dastak deti hai.

Police: 'Nitesh hai, verification k liye aaye hai'
[Ji ha nitesh, janab mere janm ko 23 saal gujar chuke hai, parantu aaj tak pahli dafa me mera naam koi sahi nahi le pata hai. Log sochte hai k itna simple naam kaise ho sakta hai, kuchh log nitesh, kuch nitin to kuchh vyakaran aur hindi ki sari simao ki maa-bhen karte huye mujhe nikhil tak pukarte hai....]
Main: Ji main hi hu abhi aaya.

Meri Maa police ko dekh k atyant tanav me aa chuki thi, shayad Abu Salem ki maa bhi apne bete ko police se baat karte dekh itne tension me naa aayi hogi.
Maa: Kya ho gaya? Kyo aaya hai ye?
Main: Kuchh nahi passport verification k liye aaya hai.

Ab verification k naam pe do (2) padosiyo ke dastkhat liye jane the. Sala jab kaam nahi hota hai din me pachas padosi dikh jate hai, par aaj to jaise ramgad me gabar aaya tha, koso dur tak kisi bachchhe k rone ki aawaj tak nahi..Bahut nainsafi hai ye.

Main akkad bakkad karke ek padosi ko chunta hu aur darwaje khatkhata hu, do (2) sign karwata hu, sign hote hi meri gali me chahal pahal achanak se bad jati hai.

Sadiyo purani bhartiya parampara rahi hai k mehman jate waqt mejban ko unke ghar ka niyota deta hai aur kehte hai "aana". Police wale bhai sahab bhi mujhe unke station aane ki dawat de gaye 'sham ko 6 se 8 k bich aana'. [Sanskaro k sath samay ki pabandi bhi, kaun kehta hai mere desh ki suraksha sahi hatho me nahi hai]

Sham ko ek adad photo aur shapath patra [jisme maine hi likhwaya tha k bhai main chor nahi hu] liye main palasia police station me pravesh karta hu. Har sabere palasia se bus pakdte waqt iss station ko dekha karta tha, thik waise hi jaise dharti pe baitha insan chand aur taro ko dekhta hai, farq bas yehi tha k insan chand dekh us pe jane ki khwahish rkahta hai, apni aisi koi mansha nahi thi. Par dast aur honi ko kaun taal paya hai? Mujhe bhi jana hi pada.

Ek baat hai agar aap naa to police hai aur nahi chor, to police station me hona aapke liye ajib anubhav hai. Kabhi aap swayam ko salankho k pichhe to kabhi table k pichhe rakh k kalpana karte hai, jyada antar mahsus nahi hone pe aap vastvikta pe laut aate hai.

Mere alawa waha kai log the, jinme ek atyant sunder kanya bhi thi. Kisi bhi aam insan ki tarah maine bhi vardidhariyo ko dekhne ki jageh use hi dekhna uchit samjha.

Isi bich mera verification chalu ho jata hai, chand sawalo aur sabse mahtwapurn gandhiji ki do tasviro [100 wali] k sath mera verification pura ho jata hai. Wakai mere desh me gandhiji ko har mauke pe yaad kiya jata hai. Unke iss samman k sath mere passport verification k karykram ka samapan ho jata hai aur main ghar laut aata hu......

No comments: